Sunday 19 April 2015

WAQT..!!


 
Waqt yun hi gujar jayega...
Aaj ka lamha ek yaad ban ke reh jayega..
Waqt ke saath ye rang dhal jayega..
Aaj ki gustakhiyan kal bahut yaad aayega..

Waqt ke saath sabkuch badal jata hai...
Jaise har mausam ek jaisa nahi hota hai..
Waqt ka ehsaas tab hota hai..
Jab apno ka saaya humse door ho Jata hai.
 
Waqt kisi ka nahi hota hai..
Ek pal me wo aage nikal jata hai..
Waqt yun hi gujar jata hai..
Jaise har toofan ke baad din tham sa jata hai..

Aaj ka waqt kal jaisa nahi hota..
Kal ka waqt aaj jaisa nahi hota..
Har waqt kismat badalta hai..
Har koi waqt se darta hai..

No comments:

Post a Comment

सन्नाटा

हर तरफ सन्नाटा सा छाया है लगता है जलता चिराग का रौशनी किसी ने चुराया है  इस बहती हवा में अब अलग सा सुकून आया  है ! हर तरफ सन्न...