Saturday 23 February 2013

PHOOLON KI TARAH..!!




 
Wo phoolon ki tarah kitni pyaari hoti hai...naazuk si kaliyaan hoti hai...
.unki khushbyen madhoshiyon ka aalam laati hai...unki zulfen ek alag sa jadoo dikhati hai....


kabhi jhaank ke dekho unke dil me..kitna dard bhara hai unke man me..

unka darna...sehem jaana..aur logo ke beech akela paana...sab bayan karti hai unki halaatein....


unki aankhen..unki baatein...kitni gheharaiyan chupi hai inme...

kitne dukh dard chupa leti hai wo man me....has kar uda deti apni saari dukh bhari baatein...


izzat karna sikho...kabhi na dukhana dil unka...wahi hai jisne tumhe is duniyaan me laaya...wahi hai jisne tumhe ache hone ka ehsaas dilaaya..

saath kabhi na chorna unka..har mod me thaam kar rakhna saath..
phir dekho zindagi ka maja dekar unka har pal saath...:-):-)




KYUN TUMHE DEKHKAR..!!!



Kyun tumhe dekhkar aisa lagta hai....ki tumse kuch rishta hai mera..

kyun tumhe dekhkar aisa lagta hai...

ki kya hai tumse matlab mera......


sochta hun jab bhi tumhe...dil ki dhadkan badh jaati hai meri...

dekhta hun jab bhi tujhe....ek alag

sa nasha hota hai mujhe....


kyun tumhe dekhkar aisa lagta hai.

ki kyun hai tumhaare liye itna fikar mujhe....


tumhe mujhse matlab ho na ho...

mere aane ka intezaar ho na ho..

phir bhi dil tumhaare liye dhadakta hai...tumhaari nafrato waali nazaro

par yun hi marta hai....


bhale main hun ajnabee tumhaare liye......

par tumhe dekhkar aisa kyun lagta hai..

ki pehle hum mile hai kabhi....

tumhaare saath diye hum kahi..


kyun tumhe dekhkar aisa lagta hai..

ki tumse kuch rishta hai mera. ........kya hai matlab tumse mera...!!





AAPKI AANKHON ME..!!

 

 

aapki aankhon me jo nasha hai wo nasha koi jaam me nhi.....


aapki aadayen me jo maja hai wo maja kahi aur nahi...


aap hi aap aate hai khayalon me aur koi duja nahi...

yun to hasinaayon ki hoti hai roj nazare......

par jabse dekha hai aapko aap lage hai humko aur bhi pyaare...


aapse pyaar hua is kadar hume..

jal gaye hai diye saare dil ke....

ab aisa pyaar nhi hoga kisise......

kyunki aapke jaisa dil kahan


mujhe aap hamesha yaad rakhna..

apne dil ke paas paas rakhna..

kyunki

aapko nahi milega mere jaisa paagal aur deewana kahi.....!!!!!!!!!!!



THANDI HAWA KA SAATH HO..!!




Thandi hawa mere baalon ko choo rahi hai....aur mujhe naya bana rahi hai..

ye aasmaan baadlo se ghira hai....

khila hua chaand bhi isme chup baitha hai...


is behti hawa me ek alag si khusbu hai....ek alag sa sukun hai....

dekho ye chaand ki roshni kitni pyaari hai….

har jagah sannata kyun chaayi hai…..


ye raat kyun itni alag hai..

maano mujhse kuch keh rahi hao..

aur mujhe kisi ki yaad dil rahi ho...

in taaron ke beech kho jaana chaahta hun main....aur is duniyaan ki

nafrato se door chale jaana chahta hun main....


    ab ye yaankein neend ke saaye me doob rahi hai...

aur sapno ke duniyaan me kho rahi hai...

mujhe us duniyaan me le chalo jahan koi gam na ho...koi nafrat  na ho

kisi me jalan na ho aur har jagah pyaar hi pyaar ho…….

phir wo raat ho...thandi hawa ka saath ho...phir koi nayi baat ho..





Friday 22 February 2013

WO SHAAM EK ALAG SI..!!

Wo shaam, ek alag si madhoshi thi…ek alag sa sama tha…
Wo sham, Ek alag sa maja tha..ek alag sa sama tha..
kab wo din gujar gaye ,sirf yaadein chod gaye…
kab wo saare pal gujar gaye…sirf yaadein chod gaye…

wo shaam ek alag sa maja tha..ek alag sa nasha tha..
wo shaam ek alag si khusbu thi..ek alag sama  tha..
kya pata wo shaam kab aayegi…kab wo pal phir saath  layegi..
ab is shaam me wo khusbu kahan …wo maja kahan…wo  nasha kahan…

ye nasha..ye madhoshiyan kyun chaayi hai mujhe
ye tanhaiyan…ye gum kyun chaayi hai mujhe…
gumsum sa rehne laga hun..chup sa rehne laga hun..
pyaar me khone laga hun.. dil me kisi ko chupane laga hun..
sab log kehte mujhko paagal..main kehta duniya ko paagal..

mujhe pata hai wo shaam phir se aayegi….phir se madhoshi laayegi..
wo shaam  phir wo khushbu hogi aur bilkul alag hogi……

KYA KAHUN KYA SUNU TUMSE..!!


     
 Kya kahun tumse kuch kaha na jaaye..

kya sunu tumse kuch suna na jaaye..

tumhaari khushbu meri ore aa rahi hai....

tumhaari aankhein mujhe paagal bana rahi hai..


tumhaari baaton se bahut khafa hun mai....

tumhaari nazaron se door hun main...

tumhe mujhko nahi samajhna...

 tumhe mujhko har waqt door rakhna....

 tum kya samjhoge is dard ko... tumhaare liye hai mera dil har pal dhadakna....

tumse mera yun hi milna...

tumse baatein yun hi karna..

kya rakha hai is baaton me..
koi to wajah hai tere saath me..


tumhaare liye likhna...

tumhaare baatein kiya karna.

ab to lagti hai bekaar mujhe...

aur tumhaara saath na dena kar deti hai niraash mujhe....


kabhi to meri dil ki sun liya karo..

kabhi to meri arzoo jaan liya karo...

kya pata kal rahu ya na rahu mai..

kabhi to samajh liya karo mujhe.....

ab kya kahun tumse kya sunu tumse...


TUMHE MERI KADAR KAHAN..!!


Tumhe meri kadar kahan.....meri aasuon ki fikar kahan
main kaun hun..main kya cheese hun
tumhe abhi tak khabar kahan.....


ek din aayega.... jab meri tumhe yaad satayegi....meri chahat tumhe paas bulayegi....aur mere pyaar me tum doobti chali jaaoogi...


tumhe meri parwaah kahan...mere aasuon ki fikar kahan...
main kaisa hun..main kaun hun...
tumhe abhi tak samajh kahan..


ek din aayega...jab mere saath ka ehsaas hoga...mere jaaduon ka asar hoga....meri kavitayon ka intezaar hoga....aur tumhe mujhse pyaar hoga.

sapno me kab tak aaoge tum mere....
kab tak tadpaoge tum mujhe....
tanhaion me sochoge jab mere baare me...
main har waqt gungunata rahunga tere khayalon me.......

par tumhe meri kadar kahan...meri parwaah kahan...mere aasuon ki fikar kahan..............:-\




BAHUT YAAD AATE HO AAP..!!




Bahut yaad aate ho aap...jab se chor gaye ho sab ka saath...

bahut yaad aate ho aap....jab se suni ho gayi hai aapki awaaz...


chale gaye ho itni door aap...

chor gaye ho sirf apni yaadon ka saath...

khoob yaad aate ho aap...

aasu nikal aate hai aapko sochne ke baad...


aapki saari baatein yaad aati hai..

aapke saath bitaya hua pal phir taaza ho jaati hai..


sirf chale gaye ho nazaro se door ap.. sapno me darshan de jaate ho aap...

aapka ab bhi hai saath...


hogi  koi janam aapse phir mulaqat..

hogi aapse phir baat...aur phir se hoga aapka saath..


bahut yaad aate ho aap..jab se chor gaye ho sab ka saath.....




सन्नाटा

हर तरफ सन्नाटा सा छाया है लगता है जलता चिराग का रौशनी किसी ने चुराया है  इस बहती हवा में अब अलग सा सुकून आया  है ! हर तरफ सन्न...